Back
Pankaj 's Joke
Promising young man should go into politics

A promising young man
should go into politics so that he can
go on promising for the rest of his life.

Oct,20 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
We have plenty of Confidence in this country

We have plenty of Confidence in this country,
but we are a little short of good men
to place our Confidence in. -Will
Rogers

 

 

Oct,20 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Government is like a baby

Government is like a baby.

An alimentary canal with

a big appetite at one end

and no sense of responsibility at the other.

Oct,20 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,19 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,19 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,19 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,18 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,18 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,18 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,18 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,18 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,18 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak

Oct,18 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Deep tumhara pyar
Ek deep tum pyar ka, rakhna dil ke dwaar,
yahi deep ka arth hai, yahi parv ka saar.

Deep hridya mein kar gaye, khushiyon ka bauchhar,
aaj prem se hum kare, deepon ka satkaar.

Kesar, chandan ghar lage, roli akshat dwaar,
saji deep ki alpna, kirne vandanvaar.

Phool-pankhudi tan hua, hridya hua ab doob,
deep-parv ke taal mein, hum sab jaayein doob.

Deep-parv si zindagi, deep tumhara pyar,
tum rangoli alpna, tum hi vandanvaar.

Diya ek vishwaash ka, jale hridya mein aaj,
sadbhaav ko noch rahe, aaja ghrina ke baaz.

Udi gagan mein prem ki, kirane pankh pasaar,
hua praajit deep se, fir timir ek baar. 
Oct,17 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Diwali Tyohar
Deepak jala chala andhkaar,
roshani ka hua chamkaar,
roshan ho gayi dason dishayein,
aaya Diwali ka tyohar.

Anaar dikhaye roshani fuhaar,
chakari nache barmbaar,
fuljhadiyon ki shokh adaayein,
laaya Diwali ka tyohar.

Gujhiyon ki chhayi bahaar,
Gulab jamun pe aaya nikhar,
pakwaano se mehaki fijayein,
aaya Diwali ka tyohar.

Umangit ho utha sansaar,
jagmagaya deep tyohar,
lekar de do shubh kamnaayein,
aaya Diwali ka tyohar. 
Oct,17 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Ram Bhagwan se diwali.....
"Aaj aaya dekho dipo ka tyohaar,...
khushiyo ke saang.....roshni ki jhankar....
Ram bhagwan ne khaas is din ko banaya tha.........
mai aur aap kya hai....us waqt Ravaan bhi ghabraya tha....
kaun jaane har yug ki kya gaatha hai....
par itna pata hai...jo padha hai Bhaagwad Gita me....wo har baar samne dikh sa jata hai.........." 
Oct,17 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
HE LAKSHMI MATA
He Lakshmi mata
aapka aur mera hai
Maa Bete ka nata
Naate ko nibhana
Is bar diwali par
Mere ghar jarur jarur aana
Maa jab bhi aap
Vishnu ji ke saath aati ho
Us ghar me sada sada ke liye
Bas jati ho
Nate ko nibhana
Param prabhu ke saath
Mere ghar Jarur jarur aana
Maa aap jab bhi aati ho
Kuber ji ki krapa
Apne aap baras jati hai
Nate ko nibhana
Mere ghar Kuber ji ki krapa
Jarur jarur barsana
Maa aap jis ghar me
Sada rehti ho
Khushiyo ki ganga
Vaha behti hai
Nate ko nibhana
Mere ghar khushiya hi khushiya
Jarur jarur bahana. 
Oct,17 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Deep Jale
Sone ki baati, chaandi sa ujala,
Deepawali ka parv hai matwala.
bam fate aur chale pataakhe,
roshani se mund mund gai aankhein.
maavas ka dhula daag kaala,
Deepawali ka parv matwala.
fasal aai ghar subh yahi laabh,
hisaab naye shuroo yahi rang aam.
badhaai mithai ka chala hai daur,
saaf swachhta hai har thaur.
naya CALENDAR ye batlaata,
Deepawali ka parv matwala. 
Oct,17 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Jyoti nai dikhata deepak
Jyoti nai dikhata deepak,
sabka man pulkaata deepak.
andhiyaare ko door bhagaakar,
navparkash failata deepak.
ghar aangan ka kona kona,
jagmag-jag karwata deepak.
yadi bhatak jaayein raah to,
jhapat raah dikhata deepak.
ek lakshya ke liye nyochhawar,
sab kuchh kar jal jaata deepak.
Oct,17 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Ayi Re Ayi Diwali

Ayi Re Ayi Diwali
Patakhe tohfe layi Diwali
Dil ko khush karne ayi Diwali
Ayi re ayi diwali
Ayi re ayi diwali
Maze karte huye bacche dekho
Mummy ka na Papa ka dar hai
School ka na Teacher ka dar hai
Bulb fool lagate Papa
Mandir sajati dekho Mummy
Bacche hain khelte koodte
Pathako main ekdum must hai
Khaana dekho banati chachi
Chocolate khate dekho chacha
Bhagwanji ki puja main sab
Shish jhukn ke baithe dekho
Arti lekar or parshaad khaakar
Jhoom utha saara parivaar
Ayi re ayi diwali
Ayi re ayi diwali
Khushiya dekho lai diwal
Ayi Re Ayi Diwali

Oct,17 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Pyaar Ki Maut

Mera naam Arun kumar ye meri fist love ke kahni hai wo mere class 7 mein nayi admission ayi thi phele hidin se acchi lagi thi muje per pyar nahi hua tha mujhe.ek din wo school late ho gayi thi mein bhi late ho gaya tha wo bhi sayed dowr ke aa rahi thi mein bhi ek turn per hum dono takre aur hum dono hi gir gaye tab mein turant uttha meine apne aap ko nahi dekha phele use dekha jor se chot lagi thi usse mein uthana cha per wo khud hi uth gayi sorry bola use maine per boli meri bhi galati hai usne bhi sorry bola iske baad mein prayer karne chala gaya bus us din baad hi mujhe pyar ho gaya.

Wo jab mere class mein nahi thi to mein first karta tha uske aa jane ke baad mein second.dhere dhere mein usse baat karne laga lekin photo nahi thi uski mere pass to maine uski school dairy chura li aur ghar le aya bahut hanth kanpe the us din.per use gharwalo se chupa ki bhaut der dekha.per photo ko diary se nikalne ki himmat na hui fir agle din class phele pahunch ke uski diary last bench per rakh diya aur kisi ne dekha to use de diya wo kush ho gayi fir uska birthday aya 18 feb usdin wo cake le ayi thi usne class teacher aur class ke ladkon aur ladkiyon ko bulaya per mujhe nahi kynki wo janti thi iske pass paise nahi kuch gift nahi kar payega lekin baat mujhse uski bhaut hoti thi bahut bura laga mujhe.
    
Per mein kar bhi kya sakta tha meri status bhi wahi thi.jab mein ncc training kar raha hota to wo kabhi ati mein use hi dekhta aur mujhe, dhere dhere uske baat se lagne laga ki wo mujhe pasand karti hain.per kaha hum dono mein kisi ne bhi nahi.so fir kuch din tak ye silsila chalta raha.dhere dhere class 9 pahunch gaye phir uske baad mere father ne ghar badal liya aur hum wanha se 12km dur aa gaye fir mera dushre school mein admission ho gaya.

Koi din nahi aisa gaya jis din meine use yaad nahi kiya.fir ek din meine feel kiya ki meine usse pyar karke bhaut badi galti kar di.so agle din mein uske school gaya ek letter likh ke us din dar ke mare halat kharab thi use dekhte hi meri heartbeat bhaut badh gayi.per himaat kar ke diya.usne puccha kya hai isme mein kaha thumhare liye kuch hai khol ke dekh lena.

Wo class gayi aur usse khol ke padha to uski ankhen puri lal ho gayi aur bahoot royi usdin.sare ladko ko pata chal gaya ki mein kya likha tha usne us letter ko phad ke dustbin mein pheka tha ladkon ne use nikal ke jod kar padh liya likha tha sweety ho sake to mujhe maaf kar dena maine tumse pyar karke bhaut badi galti kar di.

mein dunia ka sayed phela ashiq tha jisnd love letter ke jagh break up letter diya mein usse milla fir usse sorry bhi boli per usne phir phele jaisi baat bhi nahi ki.fir mein diploma karne chala gaya aur wanhi se +2 karne lagi.lekin pata nahi wo kaise phel ho gayi.fir jab mein sikkim se ghar aya tha usse mila lekin sayed wo mujhse baat nahi karna chati thi.Wo mere age se nikal gayi antim baar dekh tha use maine.

Fir uske baad meine usse facbook per bhaut dundha ek din ek profile milli jisme uski photo nahi thi per meine use request bheja per friendship accept na honi thi na hui.fir ek saal baad baat ki use apne pyar ke bare meim bataya per wo boli ki kisi aur se pyar karti hai wo nit mein padhta hai.mein samaj gaya fir kuch na bola.usse sayed paiso se pyar tha jab mein school chod aya tha to ek ladka usse gift deta to wo uske santh ghume laga phir wo usse pyar karne lagi thi.mein samj gaya lekin pyae cheez hi aisi hi ki bhool nahi sakta.

Agar kal wo mere pass andhi langdi ya kaisi bhi halat mein aye.mein uss accept karunga utna pyaar jitna sayed koi na kar sake. Mera phela pyar sweety.

Oct,14 2014
Hansimazak Hansimazak Hansimazak Hansimazak
Feedback  | Contact us  | Disclaimer